Agar kisi cheez ko dil se chaho, toh puri kainaat usse tumse milane ki koshish mein lag jaati hai- Om Shanti Om
Main usse pyaar karta hoon, yeh kehna mere liye bahut chhoti baat hogi. Meri jaan basa hai usmein- Veer-Zaara
Sachi mohabbat zindagi main sirf ek baar hoti hai aur jab hoti hai, toh koi bhagwan ya khuda usse nakamayab nahi hone deta- Veer-Zaara
Agar kisi cheez ko dil se chaho, toh puri kainaat usse tumse milane ki koshish mein lag jaati hai- Om Shanti Om
Pyaar dosti hai. Agar woh meri sabse achi dost nahi ban sakti toh main usse kabhi pyaar kar hi nahi sakta. Kyunki dosti bina toh pyaar hota hi nahi- Kuch Kuch Hota Hai
Hum ek baar jeete hain, ek baar marte hain, shaadi bhi ek baar hoti hai… aur pyaar bhi ek hi baar hota hai!- Kuch Kuch Hota Hai
Main jab bhi aap ko dekhta hoon mujhe Rab dikhta hai. Rab ke samne matha tekta hoon toh dil ko sukoon milta hai. Aap ko hanste hue dekhta hoon toh dil ko aur bhi sukoon milta hai - Rab Ne Bana Di Jodi
Teri aankhon ki namkeen mastiyaan, teri hansi ki beparwah gustakhiyaan, teri zulfon ki lehraati angdaaiyaan, nahi bhoolunga main, jab tak hai jaan, jab tak hai jaan- Jab Tak Hai Jaan
Mujhe darr toh bahut si cheezon se lagta hai... par sabse zyada darr tumhe kho dene ke khayal se lagta hai- My Name Is Khan
ADVERTISEMENT